
ILM
" ILM " urdu ka aik chota sa lafz lakin is lafz ki taqat ka andaza koi nahi kar skta.quran pak kay pehlay ilfaz hi ilm se shuroo howay,iqra (parh).aor hamaray nabi kareem (pbuh) nay bhi farma diya kay "ilm hasil karo khawan tumahain chine jana paray.dunya main jitnay bhi logon nay turaqqi ki hay woh ilm ki hi badaolat ki hay,muslamano kay zawal ki bhi sab se bari waja ilm ko chhor daina tha.ilm insan ko jahalat kay andher kuwain se nikal kar roshni ki aik jagnaghati dunya main lay jata hay.ajj hum khush kismat hain kay hamari umat e muslima ko " ilm " ki roshni ka andaza ho gya hay,kay is kay baghair turaqi mumkin nahi.issi liye mere tamam pakistani muslamano se iltimas hay kay apnay bacho ko ilm ki shama zaror dikhain.takay pakistan aor umat e muslima dunya kay sath shana bashana chal sakain.quran pak main aik aor jaga aya hay kay " rabbi zdiney ilma " ae mere rab mere ilm main izafa farma.is se ae musalmano tumhain ilm ki ahmiat ka andaza ho gya ho ga.
Photo added by
akbar ali
on
01/03/2011
|
Rate
|
|
|
Views |
1317
times |
|
Share |
|
|
|
|
University of the Punjab Lahore
Ranking
|
|
|
|
|
|
|
|
Friendly Administration |
6 |
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
1= Lowest 10 = Highest |
|
|