
urdu encylopedia
zamana e qadeem se hi insan is koshish main raha hay kay zayada se zyada dunya kay knowledge ko jama karay aik jaga apnay liye aor apni anay wali naslo kay liye ,is maloomat kay majmoaye ko encyclopedia kehtay hai aor urdu main dairat ul muarif ,waisay to encylopedia dunya ki har mashoor zaban main available hay lakin urdu main abhi tak koi mustanad encylopedia nahi bana hay ma swaye online urdu wikipedia kay jo kay zyada mayari nahi hay ,1973 main kuch ilmi logon nay shahkar encyclopedia kay naam se kist war encylpedia chhapna shuro kiya tha risale ki form main,jo kay darasal britanica encylopedia ka urdu tarjama tha lakin kuch nagazir wajohat ki waja se band ho gya uncomplete form main,urdu main abhi tak sirf islamic encylopedia hi available hay kitabi aor online main,punjab university kay kuch students mil kar dunya kay mashoor encylpedia britanninca aor encarta ka urdu tarjama kar rahay hay kitabi form aor cd,dvd main release karnay kay liye jis ka naam "urdu encylopedia " ho ga jo kay jald hi release kiya jaye ga.aor yeh urdu ka sab se pehla general encylopedia ho ga.urdu ka yeh encylopedia hamaray schools,colleges aor universities ki librariyon kay liye bhi aik achha ilmi izafa ho ga.
Photo added by
aftab ali
on
11/04/2011
|
Rate
|
|
|
Views |
1687
times |
|
Share |
|
|
|
|
University of the Punjab Lahore
Ranking
|
|
|
|
|
|
|
|
Friendly Administration |
6 |
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
1= Lowest 10 = Highest |
|
|